Saans jane bojh kaise jeewan ka ddhoti rahi
Nayan bin ashru rahe par zindgi roti rahi
Ek najuk khwab ka anjam kuch aisa hua
Mai tadapta raha idhar vo us taraf roti rahi
Bhukh ,aansoo or gam ne umar tak pichha kiya
Mehanat ke rukh par jardiyan , tan pe fatee dhoti rahi.
Us mahal ke bistar par sote rahe kute billiyan
Dhup me pichhvade ek bachi choti soti rahi
Aaj to us Maa ne jaise taise bache sula diye
Kal ki pfikar par raat bhar daman bhigoti rahi
Tang aakar muflisi se khudkhushi kar li magar
Do gaj kafan ko lash uski batt johti rahi
'Deepak' bashar ki khwashion ka kad itna badh gaya
khwashion ki bhid me kahi zindagi khoti rahi.