Main aag huin phir bhi teri tasir ye “Deepak”
Hatheliyon mein aate hi muqadas ban jata hun

 

 

 

Chauthi Ghazal

GHAZAL   1 - 2 - 3 - 4- 5

 

Jidhar bhi dekha bebasee ka tamasha dekha
Koi  bhukha  koi nanga ,koi Peyasa dekha 

Hamesha julm ke mukadar me ujale dekhe 
Aur takadir me pasine ki dhuna sa dekha

Jis bhi chirag ne chaha ladna  andhera se
Sir us chirag ka dhar se tarasha dekha .

Ek ilak Safed posh ki jo padi aaina  par
Aaina  siyha ho gaya ,chehara zara sa dekha

Maut se to hiransa n  tha koi bhi shahar me
Jisko bhi hamne dekha,  jindagi se hiransa dekha
.