Tum motiyo ki tarah bhikarti rehna
Main hatheliyo mein sambhalta rahunga har bar.ss
Tera bikharna, mera sanverna phir dekhna
Bindh-dhage mein ban jayega motihar.

 

 

 

Teesri Kavita

KAVITA   1 - 2 - 3 - 4 - 5

 

Krodh se aakhir kab nirman hua hai  ?

Ugarta   chhin   leti  aadmiyat
Dhamniyo  me bhar dei vehshiyat
shan me kar jati  palayan chetna
Aur  nritya karti   rakht me  utejna 
Utejna  se kab koi smadhan hua hai
Krodh se aakhir kab nirman hua  hai ?

Kuchh nahe hota tapan se dekhna 
Dhuna uthta hai bas milti  vedna
Krodh  me  chingari jab koi ghumti
lautkar fir apan hi ghar chumti
Bad me barbad sirf insan  hua hai
Krodh   se   aakhir   kab   nirman   huaa  hai  ?

Aankhon me sholey liye jo bhi hua
Jab bhi hua tab bahut bura hua
Khun se lathpath tamam sadiyan hui
Krodh me jab bhi kabhi khanjar chuaa
Aant me taan apna lahoo loohan hua hai 
Krodh se aakhir  kab  nirman  huaa hai  ?

Taish sirf  vidhvans  ka pryaye hai 
Krodh kuchh kshan ke liye sukhaye hai 
Ugrata hai kuchh paalo ki prasanta
Aur kuchh der bad chir -nagnata
Krodh se aabad sirf  shmshan huaa hai 
Krodh se aakhir kab  nirman huaa hai  ?