Me jal raha tha aag me bola zamana roshni hai,
Or jab roshan hua jag ne kaha ki aag hai.

 

 

 

Teesri Ghazal

Ghazal    1 - 2 - 3 - 4

 

Jis raha par har bar mujhe apna hee koei chhalta raha
Phir bhi na jane kyu mai us raha ki chalta raha

Socha bahut is bar to roshni nahi dhunai dunga
Lekin chirag tha fhitran jalta raha , jalta raha

Apni thamkar ungliyan chalna sikhaya tha jise
wo is tarha badla jaise mausam badlta raha

Kab ro pada tujhe yad kar mujhko kuchh khabar nahi
Dil lekar aansuo ki shakl , galta raha galta raha

Hai uska Daman Samandar aur meri Hastee Aftab
Bajood mera tere Daman me hee simatta raha ,nikalta raha

Anjam ki hum sochkar aagaz tak n kar sake
Afsos 'Deepak' bad me bashar hath hee malta raha