Maan ne saja ke apni muniya Bheji saahukar ke paas
Bhukhe bilakhte chote bacche dekh saki na maa ki mamta
Choor nashe mein baap mara saa, ghar mein pada tha aankhe meenche
Zarjar bacche maangte roti , ro –ro maan ka pallu kheenche
Chulha nahi jala kai dino se, dhool jami bartan ke upar
Dekh ke roti honth dabaye , mamta dekho muthhi bheenche
Katra – katra aankh se girti, aansu ki surat mein laaj
Maan ne saja kar apni muniya bheji saahukar ke paasa
Apni saloni dekhkar jisko , khud pe itrati thi dukhiya
Gadi – gadi