Man ki man se raah mili thi, tan se tan ka mel nahi tha
Tu isko khilwad samajh par sach kahta hun khel nahi tha
Maine man aangan mein tujhko Tulsa sa puja hai nishi din
Aisa to socha naa tha, jeevan chal sakta hai tum bin
Mere armaano se pal – bad jo lipta tha tan man se tere
Tha wo mere sapno ka vriksh , koi jangli bel nahi tha
Tere haathon men kar apna, rakh tujhko jo bol diye the
Sach kahta hun shabd apne hi , swar mein tere ghol diye the
Arre kaise na chantta andhiyara, tum baati banke to jalti
Main Deepak neh maati ka, neh tha mujhme tel nahi tha
Jhuti kasmen, jhuthe wade, karma hogi jag ki reeti
Tan ki khatir karte honge duniya wale jhooti preeti
Bas naynon mein dekh tumhare jaane kitne yug gujre
Swapn sanjona apne kal ke bahut kathin tha khel nahi tha
Samajh saka na ab tak kaaran, kyon main tujhko mil na paaya
Tum kyon meri ho naa paai, kyon mein tera ho na paaya
Jaane kab tum hui parai , jaane kab main ho gaya ajnabi