Dil me jab tak tu nahi ,main nahi hum hai
Ghar bikharne ke mauke bahut kam hai
Kaun khichega bhla apane sehan me deevar
Jazba zinda hai to phir kaisa gam hai
Jism ki chordo , roti ke liye bikti auladen
Tarakki ki rah mein apna ye kaisa kadam hai
Khamiyan thi jo uski aaj khubiyan ban gai
Pahale kangal tha ,ab uski jebe garam hai
Chand katran me simat aaya hai aurat ka libas
Kiski tehazib me kho gai tehazibo - sharam, hai
Hath failane se savrenge vatan ka Mukadar
Unko yakin hai lekin hume pura bharam hai
Ram jane ! is safar ka anjam kya hoga
Tutti sanse rehenuma ki, tabiyat bedam hai .