Swapan kuchh maan mein sukhi sansar ke
Swapan kuchh alhad mast bahar ke
Swapan kuchh naino mein hanste pyar ke
Swapan kuchh tat ke , kuchh majhdhar ke
Hai ! jeevan bhar sajata rah gaya
Ek bhi sapna na mera satya hua
Swapan hi sanjte rahe , jeevan bha gaya .
Tukda ek Maroo ka rha main umar bhar
Katra ek paani ka n mujh par gira
Bhar gaya Haryali se Chatan ka tan
Paat bhi Taroo ka ek n mujh par jhara
Soch kar sab honi apne bhagya ki
Duhkh bhi main sukh ki tarah se seha gaya .
Ek bhi sapna n mera satya hua,
Swapan hi sanjhte rahe ,jeeva beh gaya .
Kishti maine bhi khaee ashaon ki
Par nahi kuchh bhi mujhe hasil hua
Sanjh tak kheta raha main nav ko
Lekin bhanwar hi mera sahil hua
Nav birle ki hi lagti hai kinare
Majhin ek aakar tab mujhse kah gaya .
Ek bhi sapna n mera satya hua.
Swapan hi sanjte rahe , jeevan be gaya .