Mahaz alfaz se khilvad nahi hai kavita
Koi pesha , koi vyavsaye nahi hai kavita
Kavita shauk se bhi likhne ka kam nahi
Itni sasti bhi nahi , itni bedam nahi
Kavita insan ke hridaye ka uchvaas hai
Maan k bhini umang , manviye ehsaas hai
Kabhi kavita kisi vishaye ki mohtaz nahi
Nayan neer hai kavita , koi raag - saaz nahi
Kabhi kavita kisi alhard yauvan ka naz hai
To kabhi duhkh se bhari hridaye ki aavaz hai
Kbhei dhadkan to kabhi laahoo ki rvani hai
Kabhi roti to kabhi bhukh ki kahani hai
muflis jism ka ugadha hua badan hai kabh
Bekafan lash par chadta hua kafan hai kabhi
Bebas insan ka bheega hua nayan hai kabhi
sardilee raat me thithurta hua taan hai kabhi
Kavita behti hui ankhon me chipaka peep hai
Kavita kahi dur nahi , insan ke sameep hai
Mahaz alphaz se khilvard nahee hai kavita
Koi pesha , koi vyavsaye nahi hai kavita