Sambedansheelta jab bhavnao aur kalpnao ka
Jvar bankar heerday ko chubhati hai to uski
Abhivyakti kavita ke madhyam se vyakat hoti hai .
Aaj ki bhautikvadie tatha jhoothi zindgi mei jo
Kisi tarah apni - apni zarurtein puri kar rha
Hai wahi kamyab insan bankar auron ko
Kamyab hone ke tarike bata raha hai chahe wo
Tarike galat hi kyon n hon . Chunki maine akasar
Un logon ko tarakee karte dekha hai jinhone
Auron ka hak chheena hai ya kamzoron ko aur
Kamzor kiya hai .
Sharab hamare desh ke liye abhishap hai . Kuchh
Log isliye peete hain ki unhen sirf pina hai aur
Kuchh log shaukiya peete hain , par kuchh hai jo roz
Peete hai . yahan sirf kalpna nahi ek bhayank
Satya hai .
Sapne dekhna , sunhare palon ka intazar karna
Insan ka swabhav hai . yah ashavadee nazriya
Ek vishvas , ek bharosa paida karta hai jo use
Jeevan men aage badhne ke liye prerit karta hai .
Parntu jab yah bharosa tutha hai to insan vyathit
Ho jata hai , antarmukhee ho jata hai .
Mazahab , kaum kee ehmiyat manvta par jyada
Havee hai . hamare samajik sambandhon mei mazahab
Ek mahatavpoorn bhumika nibhata hai .jab in
Sambandho ke bich mazahab aa jata hai to prem ,
Sneh, aatmeeyta, jiska ham dambh bharte hai ,
Ek hee kshan mei palayan kar jate hain , phir shuru
Ho jata hai smaj ka vibhats tatha khaufnak
Khel v maut ka tandav . Is khel men jyada
Nukasan agar hota hai to sirf desh ka .
Maine is sanklan men wahi sanklit kiya hai jo
Maine dekha hai , mahsoos kiya hai . samasyain to
Hain parntu unka nidan bhi sambhav hai jiska maine
Prayas kiya hai .