Nayan me rakh chavi tumhari
Archana ki nishi - din maine
Kintu yeh aabhas n tha ,
Jeevan isse hi jalega
Geet main tumko basaya
Chhand me tumko pukara
Har shvas me , rakt bindu main
Roop dekha tha tumhara
Rag - rag me anubhooti ki
Maine tumhare hi astitva ki
Aur kan-kan par Hridaye ke
Chitr tumhara hi utara.
Maan kar sarvasv tumko
Vandana kI nishi -din maine
Kintu yeh malum n tha
Sarvasv hi sarvasv harega
Sanidhy me aakar tumhare
Sameep svayam ko pa tumhare
Lagata tha aksar hiye ko
Jaise sahara mil gya hai
Adhron par vistreen muskan
Naino mein madhuryata aviram
Dekhkar lagata tha mujhko
Jaise kinara mil gaya hai
Par ab adhar sunsan hain
Aur swas tak anjan hai
Sudh mujhe jag ki bhala kya
Ab astitva mera shmshan hai .
Jan kar nij svaroop jiski
Vedna sahii hans - hans maine
Mujhko yeh andaz n tha
Ek divs wo hi chhlega .